luTe jate hain lekin gham nahin hai
luTe jaate haiñ lekin ġham nahīñ hai
ab is aalam meñ vo aalam nahīñ hai
tamannā.eñ salīboñ par sajī haiñ
sar-e-pindār phir bhī ḳham nahīñ hai
qayāmat-ḳhez hai jādū-bayānī
magar bātoñ meñ us ke dam nahīñ
bahāreñ aur ḳhizā.eñ sab usī kī
mirā apnā koī mausam nahīñ hai
agar milte to shāyad ḳhush na rahte
bichhaḌne kā bhī ab mātam nahīñ hai
baḌā.ī banda-parvar ko mubārak
faqīr-e-urdu bhī kuchh kam nahīñ hai
luTe jate hain lekin gham nahin hai
ab is aalam mein wo aalam nahin hai
tamannaen salibon par saji hain
sar-e-pindar phir bhi KHam nahin hai
qayamat-KHez hai jadu-bayani
magar baaton mein us ke dam nahin
bahaaren aur KHizaen sab usi ki
mera apna koi mausam nahin hai
agar milte to shayad KHush na rahte
bichhaDne ka bhi ab matam nahin hai
baDai banda-parwar ko mubarak
faqir-e-urdu bhi kuchh kam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.