luTera hai magar wo rahbar hai
luTerā hai magar vo rāhbar hai
hamāre maal par us kī nazar hai
mirā haq vahm ke zumre meñ aayā
tirā shak bhī hadīs-e-mo'atabar hai
vo jo kahtā thā vo kartā nahīñ thā
jo us ke dil meñ hai kis ko ḳhabar hai
bahut hai us kī ḳhvāhish us ko roke
magar mohlat nihāyat muḳhtasar hai
makāñ miltā nahīñ hai shahr bhar meñ
udhar gaañv meñ ḳhālī merā ghar hai
luTera hai magar wo rahbar hai
hamare mal par us ki nazar hai
mera haq wahm ke zumre mein aaya
tera shak bhi hadis-e-mo'atabar hai
wo jo kahta tha wo karta nahin tha
jo us ke dil mein hai kis ko KHabar hai
bahut hai us ki KHwahish us ko roke
magar mohlat nihayat muKHtasar hai
makan milta nahin hai shahr bhar mein
udhar ganw mein KHali mera ghar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.