lutf aaya hai jaan-fishani mein
lutf aayā hai jāñ-fishānī meñ
hijr kaaTā hai zindagānī meñ
sar jhukā.e adab se aatī hai
maut mausam kī rājdhānī hai
kaise ḳhush maiñ dikhā.ī detā nā
zikr merā bhī thā kahānī meñ
ek beTā milā thā minnat se
mar gayā thā vahī javānī meñ
rañg badlā huā hai aaj us kā
zahr lagtā hai yaar paanī meñ
tai karūñgā sabhī manāzil ko
aaj rañgīn shab suhānī meñ
phañs chukā hai guzishta din se 'sahar'
ek āfāt-e-nā-gahānī meñ
lutf aaya hai jaan-fishani mein
hijr kaTa hai zindagani mein
sar jhukae adab se aati hai
maut mausam ki rajdhani hai
kaise KHush main dikhai deta na
zikr mera bhi tha kahani mein
ek beTa mila tha minnat se
mar gaya tha wahi jawani mein
rang badla hua hai aaj us ka
zahr lagta hai yar pani mein
tai karunga sabhi manazil ko
aaj rangin shab suhani mein
phans chuka hai guzishta din se 'sahar'
ek aafat-e-na-gahani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.