lutf ab aae na kyon anjuman-arai ka
lutf ab aae na kyon anjuman-arai ka
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
lutf ab aa.e na kyoñ anjuman-ārā.ī kā
zarre zarre meñ hai jalva tirī yaktā.ī kā
dekhne se tan-e-ranjūr meñ jaan aatī hai
zindagī naam hai ai jaañ tirī zebā.ī kā
tere jalve ne kiyā donoñ jahāñ ko raushan
hausla baḌhne lagā chashm-e-tamāshā.ī kā
ishq ne zulfoñ ke mash.hūr kiyā saudā.ī
bol-bālā hai jahāñ meñ mirī rusvā.ī kā
chashmak-e-barq-e-fusūñ-gar hai ki ye husn-e-azal
bāġh-e-ālam meñ hai charchā tirī ra.anā.ī kā
munhasir dair pe ka.aba pe nahīñ kuchh dīdār
hausla chāhiye hai chashm-e-tamāshā.ī kā
chashm-e-bad-dūr tirā husn bhī hai ek e.ajāz
ki mukaddar hai yahāñ aa.ina bīnā.ī kā
le zarā is kī ḳhabar bahr-e-ḳhudā ai zālim
in dinoñ haal burā hai tire shaidā.ī kā
bandagī ho ga.ī maqbūl milī dil kī murād
mil gayā 'shād' sila tujh ko jabīñ-sā.ī kā
lutf ab aae na kyon anjuman-arai ka
zarre zarre mein hai jalwa teri yaktai ka
dekhne se tan-e-ranjur mein jaan aati hai
zindagi nam hai ai jaan teri zebai ka
tere jalwe ne kiya donon jahan ko raushan
hausla baDhne laga chashm-e-tamashai ka
ishq ne zulfon ke mashhur kiya saudai
bol-baala hai jahan mein meri ruswai ka
chashmak-e-barq-e-fusun-gar hai ki ye husn-e-azal
bagh-e-alam mein hai charcha teri ranai ka
munhasir dair pe kaba pe nahin kuchh didar
hausla chahiye hai chashm-e-tamashai ka
chashm-e-bad-dur tera husn bhi hai ek eajaz
ki mukaddar hai yahan aaina binai ka
le zara is ki KHabar bahr-e-KHuda ai zalim
in dinon haal bura hai tere shaidai ka
bandagi ho gai maqbul mili dil ki murad
mil gaya 'shad' sila tujh ko jabin-sai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.