lutf-e-nigah-e-naz ki tohmat uThae kaun
lutf-e-nigāh-e-nāz kī tohmat uThā.e kaun
kuchh der kī bahār ko ḳhātir meñ laa.e kaun
dil chiiz kyā hai dil se mohabbat jatā.e kaun
apnā jo ḳhud na ho use apnā banā.e kaun
tere huzūr tujh se ḳhafā ho ke jaa.e kaun
zaḳhm-e-dil-e-tabāh pe nashtar lagā.e kaun
maanā harīm-e-nāz ke pardoñ meñ hai koī
lekin harīm-e-nāz ke parde uThā.e kaun
haañ haañ mujhe tumhāre taġhāful kā ġham nahīñ
is daur-e-ḳhudravī meñ kise āzmā.e kaun
paḌ jaa.e laakh vaqt magar ye nahīñ qubūl
maiñ dekhtā rahūñ ki mire kaam aa.e kaun
kaisī bahār kis ke sitāre kahāñ ke phuul
jab tum nahīñ to dīda-o-dil meñ kaun samā.e kaun
zauq-e-amal na zauq-e-junūñ har taraf sukūñ
jannat agar yahī hai to jannat meñ jaa.e kaun
mahfil meñ koī soḳhta-jāñ hī nahīñ 'shakīl'
soz-o-gudāz-e-sham.a pe aañsū bahā.e kaun
lutf-e-nigah-e-naz ki tohmat uThae kaun
kuchh der ki bahaar ko KHatir mein lae kaun
dil chiz kya hai dil se mohabbat jatae kaun
apna jo KHud na ho use apna banae kaun
tere huzur tujh se KHafa ho ke jae kaun
zaKHm-e-dil-e-tabah pe nashtar lagae kaun
mana harim-e-naz ke pardon mein hai koi
lekin harim-e-naz ke parde uThae kaun
han han mujhe tumhaare taghaful ka gham nahin
is daur-e-KHudrawi mein kise aazmae kaun
paD jae lakh waqt magar ye nahin qubul
main dekhta rahun ki mere kaam aae kaun
kaisi bahaar kis ke sitare kahan ke phul
jab tum nahin to dida-o-dil mein kaun samae kaun
zauq-e-amal na zauq-e-junun har taraf sukun
jannat agar yahi hai to jannat mein jae kaun
mahfil mein koi soKHta-jaan hi nahin 'shakil'
soz-o-gudaz-e-shama pe aansu bahae kaun
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 539)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.