lutf-e-paimān baar baar kahāñ
lazzat-e-soz-e-intizār kahāñ
kyā huiiñ be-qarāriyāñ dil kī
vo tamannā-e-vasl-e-yār kahāñ
vo taqāzā-e-shauq-e-dīd kujā
ruuh ko ab vo iztirār kahāñ
josh-e-vahshat ke vo maze na rahe
vo garebān-e-tār-tār kahāñ
mai-kashī kī vo baat jaatī rahī
ab vo mahfil vo mai-gusār kahāñ
maut aa jaa.e to ġhanīmat hai
un ke aane kā e'tibār kahāñ
aa ki do-chār din kī zindagī hai
koī aatā hai bār-bār kahāñ
maiñ to lahore se chalā jā.ūñ
jā.egī fikr-e-rozgār kahāñ
kis ko 'sā.ib' farāġh hāsil hai
maiñ kahāñ mausam-e-bahār kahāñ
lutf-e-paiman bar bar kahan
lazzat-e-soz-e-intizar kahan
kya huin be-qarariyan dil ki
wo tamanna-e-wasl-e-yar kahan
wo taqaza-e-shauq-e-did kuja
ruh ko ab wo iztirar kahan
josh-e-wahshat ke wo maze na rahe
wo gareban-e-tar-tar kahan
mai-kashi ki wo baat jati rahi
ab wo mahfil wo mai-gusar kahan
maut aa jae to ghanimat hai
un ke aane ka e'tibar kahan
aa ki do-chaar din ki zindagi hai
koi aata hai bar-bar kahan
main to lahore se chala jaun
jaegi fikr-e-rozgar kahan
kis ko 'saib' faragh hasil hai
main kahan mausam-e-bahaar kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.