lutf hi lutf hai jo kuchh hai inayat ke siwa
lutf hī lutf hai jo kuchh hai ināyat ke sivā
hai mohabbat se sivā jo hai mohabbat ke sivā
dostoñ ke karam-e-ḳhās se bachne ke liye
koī gosha na milā gosha-e-uzlat ke sivā
mujh se shikva bhī jo karte haiñ to ye kahte haiñ
kuchh bhī aatā nahīñ kyā tujh ko shikāyat ke sivā
aap ke ḳhat ko maiñ kis baat kā ḳhummār kahūñ
is meñ sab kuchh hai bas ik harf-e-mohabbat ke sivā
jis qadar chāhūñ gunāhoñ pe hañsūñ ḳhuub hañsūñ
ye ilaaj aur bhī hai ashk-e-nadāmat ke sivā
shaiḳh hī hogā jo milte nahīñ do-chār ayāġh
kaun aa saktā hai maiḳhāne meñ hazrat ke sivā
vo jo kahte haiñ ki hai fahm-o-farāsat ham se
aise logoñ meñ sabhī kuchh hai farāsat ke sivā
nahīñ ma.alūm ki kyuuñ ruuh isī se ḳhush hai
rañj to aur bhī haiñ rañj-e-mohabbat ke sivā
rah ga.e rāh-e-amānat meñ malā.ek thak kar
marhala tai na huā ye mirī himmat ke sivā
tum ko ma.alūm ho ai shaiḳh-o-barahman to kaho
aur bhī koī ibādat hai mohabbat ke sivā
is na.ī baat ko bhī 'arsh' kabhī sochā hai
āj-kal sher meñ jiddat hai to jiddat ke sivā
lutf hi lutf hai jo kuchh hai inayat ke siwa
hai mohabbat se siwa jo hai mohabbat ke siwa
doston ke karam-e-KHas se bachne ke liye
koi gosha na mila gosha-e-uzlat ke siwa
mujh se shikwa bhi jo karte hain to ye kahte hain
kuchh bhi aata nahin kya tujh ko shikayat ke siwa
aap ke KHat ko main kis baat ka KHummar kahun
is mein sab kuchh hai bas ek harf-e-mohabbat ke siwa
jis qadar chahun gunahon pe hansun KHub hansun
ye ilaj aur bhi hai ashk-e-nadamat ke siwa
shaiKH hi hoga jo milte nahin do-chaar ayagh
kaun aa sakta hai maiKHane mein hazrat ke siwa
wo jo kahte hain ki hai fahm-o-farasat hum se
aise logon mein sabhi kuchh hai farasat ke siwa
nahin malum ki kyun ruh isi se KHush hai
ranj to aur bhi hain ranj-e-mohabbat ke siwa
rah gae rah-e-amanat mein malaek thak kar
marhala tai na hua ye meri himmat ke siwa
tum ko malum ho ai shaiKH-o-barahman to kaho
aur bhi koi ibaadat hai mohabbat ke siwa
is nai baat ko bhi 'arsh' kabhi socha hai
aaj-kal sher mein jiddat hai to jiddat ke siwa
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 146)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.