lutf ho gar tu ho aur mai-KHana ho
lutf ho gar tū ho aur mai-ḳhāna ho
maiñ huuñ aur merā dil-e-dīvāna ho
jis zabāñ par ho tirā afsāna ho
koī ho apnā ho yā begāna ho
yaañ to hai dīdār se terī ġharaz
dair ho ka.aba ho yā but-ḳhāna ho
jis ko dekhā jalte hī dekhā yahāñ
sham.a ho āshiq ho yā parvāna ho
ham ko to do-gaz zamīñ darkār hai
shahr ho bastī ho yā vīrāna ho
daur-e-sāqī meñ kise gardish nahīñ
shīsha ho sāġhar ho yā paimāna ho
kyā qayāmat ho jo 'anjum' hashr meñ
koī saudā.ī koī dīvāna ho
lutf ho gar tu ho aur mai-KHana ho
main hun aur mera dil-e-diwana ho
jis zaban par ho tera afsana ho
koi ho apna ho ya begana ho
yan to hai didar se teri gharaz
dair ho kaba ho ya but-KHana ho
jis ko dekha jalte hi dekha yahan
shama ho aashiq ho ya parwana ho
hum ko to do-gaz zamin darkar hai
shahr ho basti ho ya virana ho
daur-e-saqi mein kise gardish nahin
shisha ho saghar ho ya paimana ho
kya qayamat ho jo 'anjum' hashr mein
koi saudai koi diwana ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.