lutf ka dije sabaq husn-e-gharib-azar ko
lutf ka dije sabaq husn-e-gharib-azar ko
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
lutf kā diije sabaq husn-e-ġharīb-āzār ko
pheñkiye ḳhanjar ko rakhiye haath se talvār ko
ab ye tūfān-e-musībat kam na hogā hashr tak
nabz Dūbegī Dubā kar aap ke bīmār ko
mai-kada hai vus.at-ābādī-e-ālam kā raaz
qatre meñ dariyā nazar aatā hai har mai-ḳhvār ko
ai mujāhid jehd-e-rang-e-ḳhāksārī hai zarūr
toḌnā lāzim hai pahle is but-e-pindār ko
haañ mirī dīvāngī begāna-e-kulfat nahīñ
ābloñ ne rakh liyā hai dil meñ nok-e-ḳhār ko
apnī hadd-e-āḳhirī par ilm ban jaatā hai jehl
be-ḳhudī lāzim hai ai dil hasrat-e-dīdār ko
hai sukūn-e-qalb-e-muztar shāhid-e-taskīn-e-dard
kyoñ na ho ummīd sehat kī tire bīmār ko
ye bhī ik e.ajāz thā 'mas.ūd' husn-e-dost kā
dekhte hī dekhte hosh aa gayā bīmār ko
lutf ka dije sabaq husn-e-gharib-azar ko
phenkiye KHanjar ko rakhiye hath se talwar ko
ab ye tufan-e-musibat kam na hoga hashr tak
nabz Dubegi Duba kar aap ke bimar ko
mai-kada hai wusat-abaadi-e-alam ka raaz
qatre mein dariya nazar aata hai har mai-KHwar ko
ai mujahid jehd-e-rang-e-KHaksari hai zarur
toDna lazim hai pahle is but-e-pindar ko
han meri diwangi begana-e-kulfat nahin
aablon ne rakh liya hai dil mein nok-e-KHar ko
apni hadd-e-aKHiri par ilm ban jata hai jehl
be-KHudi lazim hai ai dil hasrat-e-didar ko
hai sukun-e-qalb-e-muztar shahid-e-taskin-e-dard
kyon na ho ummid sehat ki tere bimar ko
ye bhi ek eajaz tha 'masud' husn-e-dost ka
dekhte hi dekhte hosh aa gaya bimar ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.