Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lutf kya aaega sharafat mein

Onkar Singh Vivek

lutf kya aaega sharafat mein

Onkar Singh Vivek

MORE BYOnkar Singh Vivek

    lutf kyā aa.egā sharāfat meñ

    aap ab aa ga.e siyāsat meñ

    thī jo masrūfiyat hameñ thoḌī

    aap bhī kab the yaar fursat meñ

    phir se tārīḳh mil ga.ī aglī

    aaj bhī ye huā 'adālat meñ

    aap pūchheñ na to behtar hai

    kitne dhoke mile sharāfat meñ

    ho ga.ī maut sunte haiñ kal bhī

    ek mā'sūm hirāsat meñ

    ho gayā guftugū se andāza

    kaun rahtā hai kaisī sohbat meñ

    lutf kya aaega sharafat mein

    aap ab aa gae siyasat mein

    thi jo masrufiyat hamein thoDi

    aap bhi kab the yar fursat mein

    phir se tariKH mil gai agli

    aaj bhi ye hua 'adalat mein

    aap puchhen na to hi behtar hai

    kitne dhoke mile sharafat mein

    ho gai maut sunte hain kal bhi

    ek ma'sum ki hirasat mein

    ho gaya guftugu se andaza

    kaun rahta hai kaisi sohbat mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now