lutf kya hai be-KHudi ka jab maza jata raha
lutf kyā hai be-ḳhudī kā jab mazā jaatā rahā
yuuñ na mānūñ maiñ magar sāġhar to samjhātā rahā
taaq se miinā utārā paañv meñ laġhzish huī
kī na saaqī se barābar aañkh sharmātā rahā
mujh sā ho mazbūt dil tab mai-kashī kā naam le
mohtasib dekhā kiyā majbūr jhhallātā rahā
kyā karūñ aur kis tarah us be-qarārī kā ilaaj
yaar ke kūche meñ bhī to dil kā bahlātā rahā
naujavāñ qātil ko achchhī dil-lagī haath aa ga.ī
jab talak kuchh dam rahā bismil ko Thukrātā rahā
'shād' vaqt-e-naz.a thā ḳhāmosh lekin der tak
naam rah rah kar kisī kā zer-e-lab aatā rahā
lutf kya hai be-KHudi ka jab maza jata raha
yun na manun main magar saghar to samjhata raha
taq se mina utara panw mein laghzish hui
ki na saqi se barabar aankh sharmata raha
mujh sa ho mazbut dil tab mai-kashi ka nam le
mohtasib dekha kiya majbur jhhallata raha
kya karun aur kis tarah us be-qarari ka ilaj
yar ke kuche mein bhi to dil ka bahlata raha
naujawan qatil ko achchhi dil-lagi hath aa gai
jab talak kuchh dam raha bismil ko Thukraata raha
'shad' waqt-e-naza tha KHamosh lekin der tak
nam rah rah kar kisi ka zer-e-lab aata raha
- Book : Dewan-e-shad Azimabadi (Pg. 161)
- Author : Shad Azimabadi
- Publication : Educational Publishing House (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.