lutf-o-karam ka tere talabgar main bhi hun
lutf-o-karam kā tere talabgār maiñ bhī huuñ
yā-rab ḳhatā muaaf ḳhatā-kār maiñ bhī huuñ
sattār tū rahīm tū rahmān tū ġhafūr
har ik qadam pe terā gunahgār maiñ bhī huuñ
dil anjuman-e-nāz meñ uljhā hai āj-kal
duniyā kī lazzatoñ meñ giraftār maiñ bhī huuñ
merī taraf bhī koī mohabbat bharī nazar
ai husn-e-yār tālib-e-dīdār maiñ bhī huuñ
koī duā ki khil uThe māyūs zindagī
koī davā ki der se bīmār maiñ bhī huuñ
bātil ke saath chalnā gavāra nahīñ 'hilāl'
haq baat gar kahūñ to sar-e-dār maiñ bhī huuñ
lutf-o-karam ka tere talabgar main bhi hun
ya-rab KHata muaf KHata-kar main bhi hun
sattar tu rahim tu rahman tu ghafur
har ek qadam pe tera gunahgar main bhi hun
dil anjuman-e-naz mein uljha hai aaj-kal
duniya ki lazzaton mein giraftar main bhi hun
meri taraf bhi koi mohabbat bhari nazar
ai husn-e-yar talib-e-didar main bhi hun
koi dua ki khil uThe mayus zindagi
koi dawa ki der se bimar main bhi hun
baatil ke sath chalna gawara nahin 'hilal'
haq baat gar kahun to sar-e-dar main bhi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.