lutf-o-karam kuchh aur hua chahta hai aaj
lutf-o-karam kuchh aur huā chāhtā hai aaj
ab tak na thā ravā jo sitam vo ravā hai aaj
ġhaflat-shi'āriyoñ meñ navāzish kī hai jhalak
shoḳhī meñ un kī ek na.ī sī adā hai aaj
hoñToñ pe un ke barq-e-tabassum huī 'ayāñ
āñkhoñ meñ ek mast ghaTā rūnumā hai aaj
sabr-āzmā ḳhamosh nigāhoñ ne dekhiye
kuchh iḳhtiyār rang-e-takallum kiyā hai aaj
tārīkiyāñ miTīñ shab-e-hijrāñ huī tamām
us ruḳh pe rang-o-nūr-e-shafaq khil rahā hai aaj
lutf-o-karam kuchh aur hua chahta hai aaj
ab tak na tha rawa jo sitam wo rawa hai aaj
ghaflat-shi'ariyon mein nawazish ki hai jhalak
shoKHi mein un ki ek nai si ada hai aaj
honTon pe un ke barq-e-tabassum hui 'ayan
aankhon mein ek mast ghaTa runuma hai aaj
sabr-azma KHamosh nigahon ne dekhiye
kuchh iKHtiyar rang-e-takallum kiya hai aaj
tarikiyan miTin shab-e-hijran hui tamam
us ruKH pe rang-o-nur-e-shafaq khil raha hai aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.