lutf rahega ham-nashin zahid ba-wazu bhi hai
lutf rahega ham-nashin zahid ba-wazu bhi hai
Prem Shankar Goila Farhat
MORE BYPrem Shankar Goila Farhat
lutf rahegā ham-nashīñ zāhid bā-vazū bhī hai
aaj ghaTā ke dosh par saaz bhī hai subū bhī hai
pesh-e-nigāh-e-muztarib hāsil-e-justujū bhī hai
yā'nī vo shoḳh mā.il-e-pursish-e-ārzū bhī hai
itr-fashāñ shamīm-e-gul bād-e-sabā latīf-tar
tāza-kun-e-mashām-e-jāñ gesu-e-mushk-bū bhī hai
chañg ba-dast nai-ba-lab mutrib-e-dil-navāz bhī
garm-navā chaman chaman tā.ir-e-ḳhush-gulū bhī hai
tujh pe ye raaz munkashif zāhid-e-ḳhuld-jū kahāñ
hāsil-e-jannat-nazīr ālam-e-rañg-o-bū bhī hai
lutf rahega ham-nashin zahid ba-wazu bhi hai
aaj ghaTa ke dosh par saz bhi hai subu bhi hai
pesh-e-nigah-e-muztarib hasil-e-justuju bhi hai
ya'ni wo shoKH mail-e-pursish-e-arzu bhi hai
itr-fashan shamim-e-gul baad-e-saba latif-tar
taza-kun-e-masham-e-jaan gesu-e-mushk-bu bhi hai
chang ba-dast nai-ba-lab mutrib-e-dil-nawaz bhi
garm-nawa chaman chaman tair-e-KHush-gulu bhi hai
tujh pe ye raaz munkashif zahid-e-KHuld-ju kahan
hasil-e-jannat-nazir aalam-e-rang-o-bu bhi hai
- Book : Saaz-e-hayat (Pg. 25)
- Author : Prem Shankar Goila Farhat
- Publication : Maktaba Tahriik, Ansari Market, Daryaganj (1965)
- Edition : 1965
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.