lutf se matlab na kuchh mere satane se gharaz
lutf se matlab na kuchh mere satāne se ġharaz
shoḳhiyoñ se kaam un ko muskurāne se ġharaz
us galī se kaam un kā sāmnā ho yā na ho
mujh ko ho aanā vahāñ tak har bahāne se ġharaz
shikva-e-aġhyār par zālim ne yuuñ Taalā mujhe
tum ko ham se kaam hai tum ko zamāne se ġharaz
koī mausam koī din ho is se kuchh matlab nahīñ
hazrat-e-'beḳhud' ko hai piine pilāne se ġharaz
lutf se matlab na kuchh mere satane se gharaz
shoKHiyon se kaam un ko muskurane se gharaz
us gali se kaam un ka samna ho ya na ho
mujh ko ho aana wahan tak har bahane se gharaz
shikwa-e-aghyar par zalim ne yun Tala mujhe
tum ko hum se kaam hai tum ko zamane se gharaz
koi mausam koi din ho is se kuchh matlab nahin
hazrat-e-'beKHud' ko hai pine pilane se gharaz
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 168)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.