lutf to jab hai ki tujh sa tera diwana bane
lutf to jab hai ki tujh sa tera diwana bane
Syed Bashir Husain Bashir
MORE BYSyed Bashir Husain Bashir
lutf to jab hai ki tujh sā tirā dīvāna bane
rind kī shaan ye hai nāzish-e-mai-ḳhāna bane
ġhair mahfil meñ nahīñ koī tumhīñ tum ho yahāñ
haif apne hī se tum aaj to begāna bane
qais ko ishq kī takrīm thī shāyad kam-kam
ham tunak-zarf nahīñ ishq jo afsāna bane
ḳhuub badnām kiyā ham ko banā kar parda
aap hī sham.a bane aap hī parvāna bane
ishq phir ishq hai zāhid tujhe mālūm nahīñ
ham jahāñ sar ko jhukā deñ dar-e-jānāna bane
dil jo afsurda o mahzūñ hai to jiinā be-kār
ziist vo hai jo chhalaktā huā paimāna bane
shān-e-dīvāngī-e-ishq milī tujh meñ 'bashīr'
dars le tujh se mohabbat meñ jo dīvāna bane
lutf to jab hai ki tujh sa tera diwana bane
rind ki shan ye hai nazish-e-mai-KHana bane
ghair mahfil mein nahin koi tumhin tum ho yahan
haif apne hi se tum aaj to begana bane
qais ko ishq ki takrim thi shayad kam-kam
hum tunak-zarf nahin ishq jo afsana bane
KHub badnam kiya hum ko bana kar parda
aap hi shama bane aap hi parwana bane
ishq phir ishq hai zahid tujhe malum nahin
hum jahan sar ko jhuka den dar-e-jaanana bane
dil jo afsurda o mahzun hai to jina be-kar
zist wo hai jo chhalakta hua paimana bane
shan-e-diwangi-e-ishq mili tujh mein 'bashir'
dars le tujh se mohabbat mein jo diwana bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.