lu chalane ki baat karte ho
lū chalāne kī baat karte ho
ḳhaak uḌāne kī baat karte ho
par katar kar junūñ parindoñ ke
'aql-ḳhāne kī baat karte ho
phir zamīn-e-ḳhayāl banjar hai
she'r ugāne kī baat karte ho
ham muhājir mizāj logoñ se
tum gharāne kī baat karte ho
tum bhī aḳhgar mujh aise ḳhāKī se
dil jalāne kī baat karte ho
vo jo 'asrār' sab samajhtā hai
us divāne kī baat karte ho
lu chalane ki baat karte ho
KHak uDane ki baat karte ho
par katar kar junun parindon ke
'aql-KHane ki baat karte ho
phir zamin-e-KHayal banjar hai
she'r ugane ki baat karte ho
hum muhajir mizaj logon se
tum gharane ki baat karte ho
tum bhi aKHgar mujh aise KHaKi se
dil jalane ki baat karte ho
wo jo 'asrar' sab samajhta hai
us diwane ki baat karte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.