luT le sarmaya-e-dil luT le
luuT le sarmāya-e-dil luuT le
ai fareb-e-chashm-e-qātil luuT le
mujh se faiyyaz-e-mohabbat hai koī
kah rahā huuñ ḳhud mirā dil luuT le
ye tamannā hai ki koī rāhzan
kārvān-e-manzil-e-dil luuT le
lutf jab hai terī duzdīda nazar
aañkh milte hī mirā dil luuT le
sūrat-e-parvāna huuñ maiñ bazm meñ
mujh ko tū ai sham-e-mahfil luuT le
husn kī āzādiyoñ kā zikr kyā
husn agar chāhe to mahfil luuT le
'auj' kī bhī kā.enāt-e-jān-o-dil
o but-e-zohra-shamā.il luuT le
luT le sarmaya-e-dil luT le
ai fareb-e-chashm-e-qatil luT le
mujh se faiyyaz-e-mohabbat hai koi
kah raha hun KHud mera dil luT le
ye tamanna hai ki koi rahzan
karwan-e-manzil-e-dil luT le
lutf jab hai teri duzdida nazar
aankh milte hi mera dil luT le
surat-e-parwana hun main bazm mein
mujh ko tu ai sham-e-mahfil luT le
husn ki aazadiyon ka zikr kya
husn agar chahe to mahfil luT le
'auj' ki bhi kaenat-e-jaan-o-dil
o but-e-zohra-shamail luT le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.