luTa jaane walon ne
luuTā jaane vāloñ ne
yaad na aane vāloñ ne
kis pastī meñ ghasīT liyā
haath baḌhāne vāloñ ne
kar hī diyā dīvār ko dar
sar Takrāne vāloñ ne
sach bhī mujhe kahne na diyā
zahr pilāne vāloñ ne
kyā kyā DhūñDh nikālā hai
ḳhud kho jaane vāloñ ne
mujh ko chhīn liyā mujh se
aane jaane vāloñ ne
piiTh meñ ḳhanjar ghoñp diyā
gale lagāne vāloñ ne
dil ko sulagtā chhoḌ diyā
aag bujhāne vāloñ ne
kyā mafhūm nikālā hai
matlab paane vāloñ ne
jism kā ik ik bhed diyā
naam chhupāne vāloñ ne
ghar na kiyā dil meñ 'rāshid'
zehn meñ chhāne vāloñ ne
luTa jaane walon ne
yaad na aane walon ne
kis pasti mein ghasiT liya
hath baDhane walon ne
kar hi diya diwar ko dar
sar Takrane walon ne
sach bhi mujhe kahne na diya
zahr pilane walon ne
kya kya DhunDh nikala hai
KHud kho jaane walon ne
mujh ko chhin liya mujh se
aane jaane walon ne
piTh mein KHanjar ghonp diya
gale lagane walon ne
dil ko sulagta chhoD diya
aag bujhane walon ne
kya mafhum nikala hai
matlab pane walon ne
jism ka ek ek bhed diya
nam chhupane walon ne
ghar na kiya dil mein 'rashid'
zehn mein chhane walon ne
- Book : siip (Magzin) (Pg. 257)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.