luTa sukun mera dil-e-be-qarar ne
luuTā sukūn merā dil-e-be-qarār ne
mujh ko ḳhizāñ banā diyā merī bahār ne
tujh ko yaqīñ nahīñ hai to ai charḳh pūchh le
dekhā hai hausla mirā barq-o-sharār ne
shām-e-firāq chāñd sitāre nahīñ to kyā
raushan kiye haiñ daaġh dil-e-dāġh-dār ne
ahd-e-shabāb abr-e-siyah mai-kada-ba-dosh
tauba ko merī toḌ diyā hai bahār ne
'muztar' junūn-e-shauq kī mere navāzisheñ
talvoñ ko tere chūmā hai sahrā ke ḳhaar ne
luTa sukun mera dil-e-be-qarar ne
mujh ko KHizan bana diya meri bahaar ne
tujh ko yaqin nahin hai to ai charKH puchh le
dekha hai hausla mera barq-o-sharar ne
sham-e-firaq chand sitare nahin to kya
raushan kiye hain dagh dil-e-dagh-dar ne
ahd-e-shabab abr-e-siyah mai-kada-ba-dosh
tauba ko meri toD diya hai bahaar ne
'muztar' junun-e-shauq ki mere nawazishen
talwon ko tere chuma hai sahra ke KHar ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.