mabadon ki bhiD mein bujhte ye insani charagh
mā'badoñ kī bhiiḌ meñ bujhte ye insānī charāġh
kaash ḳhud meñ DhūñDh paate koī lā-fānī charāġh
sab dishāoñ se umaDtī āñdhiyoñ kā shor sun
kam nahīñ hogī abhī terī pareshānī charāġh
raushnī āñkhoñ kī le legā parī-zādoñ kā shahr
had to ye hai aur phailāte haiñ 'uryānī charāġh
us ne aa kar lau baḌhā dī ḳhvāhishoñ kī ek shab
maiñ ne pahlī baar dekhā aisā lā-sānī charāġh
dekhiye rūhoñ ko in se raushnī kitnī mile
rāt-din jalte haiñ jo masjid meñ jismānī charāġh
be-qarārī kā koī to hal nikalnā chāhiye
aa tujhe lipTā luuñ mere dushman-e-jānī charāġh
jalte jismoñ kī qatāreñ duur tak jaatī huiiñ
raushnī ke naam par har samt haivānī charāġh
bāġh-o-sahrā jis taraf jā.ūñ vahīñ maujūd tum
ik ḳhudā kī saltanat aur ek insānī charāġh
ma'badon ki bhiD mein bujhte ye insani charagh
kash KHud mein DhunDh pate koi la-fani charagh
sab dishaon se umaDti aandhiyon ka shor sun
kam nahin hogi abhi teri pareshani charagh
raushni aankhon ki le lega pari-zadon ka shahr
had to ye hai aur phailate hain 'uryani charagh
us ne aa kar lau baDha di KHwahishon ki ek shab
main ne pahli bar dekha aisa la-sani charagh
dekhiye ruhon ko in se raushni kitni mile
raat-din jalte hain jo masjid mein jismani charagh
be-qarari ka koi to hal nikalna chahiye
aa tujhe lipTa lun mere dushman-e-jaani charagh
jalte jismon ki qataren dur tak jati huin
raushni ke nam par har samt haiwani charagh
bagh-o-sahra jis taraf jaun wahin maujud tum
ek KHuda ki saltanat aur ek insani charagh
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 63)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.