mamul se jite ho to jine ka hunar kya
mā'mūl se jiite ho to jiine kā hunar kyā
samtoñ kī taraf dauḌte sāyoñ kā safar kyā
uljhe hue dhāge nahīñ uljhī huī sāñseñ
kaam aa.e yahāñ nāḳhun-e-tadbīr-o-hunar kyā
tum aao na aao magar insāf se kah do
ḳhālī dar-o-dīvār huā karte haiñ ghar kyā
mujh tak to koī harf-e-hidāyat nahīñ pahuñchā
gumrāhī kā ilzām rakhoge mire sar kyā
ātish ġham-e-duniyā kī ye ghar phūñk chukī hai
ab dil ko jalā.eñge tamannā ke sharar kyā
ma'mul se jite ho to jine ka hunar kya
samton ki taraf dauDte sayon ka safar kya
uljhe hue dhage nahin uljhi hui sansen
kaam aae yahan naKHun-e-tadbir-o-hunar kya
tum aao na aao magar insaf se kah do
KHali dar-o-diwar hua karte hain ghar kya
mujh tak to koi harf-e-hidayat nahin pahuncha
gumrahi ka ilzam rakhoge mere sar kya
aatish gham-e-duniya ki ye ghar phunk chuki hai
ab dil ko jalaenge tamanna ke sharar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.