masiyat rah ki diwar hui jati hai
mā'siyat raah kī dīvār huī jaatī hai
ab Dagar aur bhī pur-ḳhār huī jaatī hai
vo qanā'at hai tabī'at meñ ki vaqt-e-ruḳhsat
ik nazar hāsil-e-dīdār huī jaatī hai
kaun hai naġhma-sarā aaj ki rūh-e-murda
raqs kartī hai to sarshār huī jaatī hai
'aql raqba hai ki ābād huā jaatā hai
dil 'imārat hai ki mismār huī jaatī hai
do-ruḳhe-pan pe zarā hone lagā kyā maa.il
ik hamiyyat hai ki bedār huī jaatī hai
kyā huā tujh ko mirī himmat-e-dushvār-pasand
zimmedārī bhī girāñ-bār huī jaatī hai
kaun se dar pe paTak aa.uuñ sar-e-nā-ahlāñ
ḳhud-pasandī bhī dil-āzār huī jaatī hai
kal yahī tark-e-ta'alluq pe musir thī 'sāqib'
aaj dekho yahī dil-dār huī jaatī hai
ma'siyat rah ki diwar hui jati hai
ab Dagar aur bhi pur-KHar hui jati hai
wo qana'at hai tabi'at mein ki waqt-e-ruKHsat
ek nazar hasil-e-didar hui jati hai
kaun hai naghma-sara aaj ki ruh-e-murda
raqs karti hai to sarshaar hui jati hai
'aql raqba hai ki aabaad hua jata hai
dil 'imarat hai ki mismar hui jati hai
do-ruKHe-pan pe zara hone laga kya mail
ek hamiyyat hai ki bedar hui jati hai
kya hua tujh ko meri himmat-e-dushwar-pasand
zimmedari bhi giran-bar hui jati hai
kaun se dar pe paTak aaun sar-e-na-ahlan
KHud-pasandi bhi dil-azar hui jati hai
kal yahi tark-e-ta'alluq pe musir thi 'saqib'
aaj dekho yahi dil-dar hui jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.