maal-e-ahl-e-zamin bar-sar-e-zamin aata
ma.āl-e-ahl-e-zamīñ bar-sar-e-zamīñ aatā
jo be-yaqīn haiñ un ko bhī phir yaqīñ aatā
kahīñ to ham bhī Thaharte jo ham-nashīnī ko
nikal ke ḳhvāb se vo yār-e-dil-nashīñ aatā
vo jab talak nahīñ aatā pukārte rahte
to dekh lete ki vo kab talak nahīñ aatā
ḳhayāl aayā to ye bhī ḳhayāl aayā hai
yahī ḳhayāl agar roz-e-avvalīñ aatā
chalo ab us kī ḳhushī vo jahāñ bhī mil jaa.e
mazā to jab thā ki milne ko vo yahīñ aatā
bas ek baat hamārī samajh meñ aatī hai
samajh meñ varna hamārī bhī kuchh nahīñ aatā
maal-e-ahl-e-zamin bar-sar-e-zamin aata
jo be-yaqin hain un ko bhi phir yaqin aata
kahin to hum bhi Thaharte jo ham-nashini ko
nikal ke KHwab se wo yar-e-dil-nashin aata
wo jab talak nahin aata pukarte rahte
to dekh lete ki wo kab talak nahin aata
KHayal aaya to ye bhi KHayal aaya hai
yahi KHayal agar roz-e-awwalin aata
chalo ab us ki KHushi wo jahan bhi mil jae
maza to jab tha ki milne ko wo yahin aata
bas ek baat hamari samajh mein aati hai
samajh mein warna hamari bhi kuchh nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.