maal-e-ehtisab ye ki hum baDe KHarab hain
ma.āl-e-ehtisāb ye ki ham baḌe ḳharāb haiñ
kisī pe tanz kyā kareñ ki ḳhud hī aab aab haiñ
basīratoñ ke irtiqā kī intihā hai āgahī
mirī nazar se dekhiye to ḳhvāhisheñ sarāb haiñ
kisī kā dard dekh kar taḌap ga.e to ro diye
shi.ār-e-dard-mañd ko basārteñ azaab haiñ
ba-e'tibār-e-ilm jin kī haisiyat faqīr sī
ba-e'tibār māl-o-zar vo sāhab-e-nisāb haiñ
ḳhirad tamām mas.aloñ kā hal junūñ se pūchhtī
javāb ek chāhiye savāl be-hisāb haiñ
hamāre baad kasmapursī-e-ġhazal kā daur hai
hameñ to ḳhair chand qār.īn dastiyāb haiñ
maal-e-ehtisab ye ki hum baDe KHarab hain
kisi pe tanz kya karen ki KHud hi aab aab hain
basiraton ke irtiqa ki intiha hai aagahi
meri nazar se dekhiye to KHwahishen sarab hain
kisi ka dard dekh kar taDap gae to ro diye
shiar-e-dard-mand ko basarten azab hain
ba-e'tibar-e-ilm jin ki haisiyat faqir si
ba-e'tibar mal-o-zar wo sahab-e-nisab hain
KHirad tamam masalon ka hal junun se puchhti
jawab ek chahiye sawal be-hisab hain
hamare baad kasmapursi-e-ghazal ka daur hai
hamein to KHair chand qarin dastiyab hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.