maal-e-jaur samjhe aur na anjam-e-wafa samjhe
ma.āl-e-jaur samjhe aur na anjām-e-vafā samjhe
na un kā mudda.ā jaanā na apnā mudda.ā samjhe
tum is mad.hosh ko kyoñ shākī-e-jaur-o-vafā samjhe
jo masrūf-e-duā rah kar na maqsūd-e-duā samjhe
zamāne meñ hazāroñ sūrateñ haiñ maut aane kī
hameñ kyoñ koī us kā kushta-e-teġh-e-adā samjhe
vafā kā tazkira bhī jurm hai kyā kyoñ bigaḌte ho
zarā socho to kyā maiñ ne kahā aur aap kyā samjhe
agar tū dasht-e-ġhurbat meñ mirā ho ham-safar nāseh
to rahzan to kujā reg-e-ravāñ ko rahnumā samjhe
jahāñ meñ be-niyāzī kī use shāneñ dikhānā haiñ
vo kyoñ pāband-e-fitrat ho vo kyoñ achchhā burā samjhe
kisī kī shoḳhī-e-barq-e-nazar kā hai ye ā.īna
'munīr' is iztirāb-e-dil ko mere koī kyā samjhe
maal-e-jaur samjhe aur na anjam-e-wafa samjhe
na un ka muddaa jaana na apna muddaa samjhe
tum is madhosh ko kyon shaki-e-jaur-o-wafa samjhe
jo masruf-e-dua rah kar na maqsud-e-dua samjhe
zamane mein hazaron suraten hain maut aane ki
hamein kyon koi us ka kushta-e-tegh-e-ada samjhe
wafa ka tazkira bhi jurm hai kya kyon bigaDte ho
zara socho to kya main ne kaha aur aap kya samjhe
agar tu dasht-e-ghurbat mein mera ho ham-safar naseh
to rahzan to kuja reg-e-rawan ko rahnuma samjhe
jahan mein be-niyazi ki use shanen dikhana hain
wo kyon paband-e-fitrat ho wo kyon achchha bura samjhe
kisi ki shoKHi-e-barq-e-nazar ka hai ye aaina
'munir' is iztirab-e-dil ko mere koi kya samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.