maal-e-rang-e-chaman chashm-e-ashk-bar mein hai
ma.āl-e-rang-e-chaman chashm-e-ashk-bār meñ hai
jo gul hai dāġh-e-ḳhizāñ sīna-e-bahār meñ hai
faroġh-e-dīda-e-yāqūb hai kise ma.alūm
vo kārvāñ jo abhī parda-e-ġhubār meñ hai
bachā sakeñge na ye naġhma-hā-e-chang-o-rabāb
sipar uThā ki tū maidān-e-kār-zār meñ hai
bilittifāq hai manzil-gah-e-mah-o-ḳhurshīd
tirā vo naqsh-e-kaf-e-pā jo rahguzār meñ hai
ajiib shai hai barā.e muraqqa'a-e-hastī
vo rang-e-jabr jo tasvīr-e-iḳhtiyār meñ hai
varā-e-mansab-e-ma.asūmiyat hai merā gunāh
ki us kā haath bhī taḳhlīq-e-rozgār meñ hai
jise koī ba-juz ahl-e-nazar samajh na sakā
vo maslahat bhī junūn-e-ḳhirad-shikār meñ hai
shahīd-e-ḳhanjar-e-abrū kabhī nahīñ marte
tū aañkh uThā ki abhī 'faiz' intizār meñ hai
maal-e-rang-e-chaman chashm-e-ashk-bar mein hai
jo gul hai dagh-e-KHizan sina-e-bahaar mein hai
farogh-e-dida-e-yaqub hai kise malum
wo karwan jo abhi parda-e-ghubar mein hai
bacha sakenge na ye naghma-ha-e-chang-o-rabab
sipar uTha ki tu maidan-e-kar-zar mein hai
bilittifaq hai manzil-gah-e-mah-o-KHurshid
tera wo naqsh-e-kaf-e-pa jo rahguzar mein hai
ajib shai hai barae muraqqa'a-e-hasti
wo rang-e-jabr jo taswir-e-iKHtiyar mein hai
wara-e-mansab-e-masumiyat hai mera gunah
ki us ka hath bhi taKHliq-e-rozgar mein hai
jise koi ba-juz ahl-e-nazar samajh na saka
wo maslahat bhi junun-e-KHirad-shikar mein hai
shahid-e-KHanjar-e-abru kabhi nahin marte
tu aankh uTha ki abhi 'faiz' intizar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.