maani lafzon ke piri mein kuchh shabab mein kuchh
ma.ānī lafzoñ ke piirī meñ kuchh shabāb meñ kuchh
aur us ke baare meñ likkhā nahīñ kitāb meñ kuchh
pahuñch ke dekhā to māñge kī raushnī ke sivā
falak ke tāroñ meñ kuchh hai na māhtāb meñ kuchh
har ek ghūñT meñ yaksāñ nahīñ thī talḳhi-e-mai
ki ghol dete haiñ hālāt bhī sharāb meñ kuchh
ka.ī gunāhoñ kā indirāj hī nahīñ miltā
kisī se bhuul huī hai mire hisāb meñ kuchh
hai terā aks ki mere ġhamoñ kā saayā hai
nazar to aatā hai paimāna-e-sharāb meñ kuchh
maani lafzon ke piri mein kuchh shabab mein kuchh
aur us ke bare mein likkha nahin kitab mein kuchh
pahunch ke dekha to mange ki raushni ke siwa
falak ke taron mein kuchh hai na mahtab mein kuchh
har ek ghunT mein yaksan nahin thi talKHi-e-mai
ki ghol dete hain haalat bhi sharab mein kuchh
kai gunahon ka indiraj hi nahin milta
kisi se bhul hui hai mere hisab mein kuchh
hai tera aks ki mere ghamon ka saya hai
nazar to aata hai paimana-e-sharab mein kuchh
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 382)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.