maani-o-lafz ki dukan kahan
ma.ānī-o-lafz kī dūkān kahāñ
aur ehsās kī zabān kahāñ
aap aur mere ghar ma.āz-allāh
is zamīñ par ye āsmān kahāñ
maiñ barābar talāsh kartā huuñ
haiñ zabānoñ meñ be-zabān kahāñ
naav tūfān paar kar jaatī
haa.e TuuTe haiñ bādbān kahāñ
ab ḳhushī bhī ḳhushī nahīñ detī
aa ga.ī umr kī Dhalān kahāñ
jo sarāpā ḳhulūs the 'tābāñ'
āj-kal aise mehrbān kahāñ
maani-o-lafz ki dukan kahan
aur ehsas ki zaban kahan
aap aur mere ghar maaz-allah
is zamin par ye aasman kahan
main barabar talash karta hun
hain zabanon mein be-zaban kahan
naw tufan par kar jati
hae TuTe hain baadban kahan
ab KHushi bhi KHushi nahin deti
aa gai umr ki Dhalan kahan
jo sarapa KHulus the 'taban'
aaj-kal aise mehrban kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.