mabad-e-zist mein but ki misal jaDe honge
ma.abad-e-zīst meñ but kī misāl jaḌe hoñge
ye nanhe bachche jis roz baḌe hoñge
itne dukhī is darja udaas jo saa.e haiñ
raat ke dasht meñ tez havā se laḌe hoñge
dhuup ke qahr kī lazzat ke shaidā.ī haiñ
ye ashjār bhī ḳhvāb se chauñk paḌe hoñge
ham ko ḳhalā kī vus.at se fursat na milī
laakh ḳhazāne is dhartī meñ gaḌe hoñge
vo din hogā āḳhirī din ham sab ke liye
ā.īna dekhne jab ham log khaḌe hoñge
mabad-e-zist mein but ki misal jaDe honge
ye nanhe bachche jis roz baDe honge
itne dukhi is darja udas jo sae hain
raat ke dasht mein tez hawa se laDe honge
dhup ke qahr ki lazzat ke shaidai hain
ye ashjar bhi KHwab se chaunk paDe honge
hum ko KHala ki wusat se fursat na mili
lakh KHazane is dharti mein gaDe honge
wo din hoga aaKHiri din hum sab ke liye
aaina dekhne jab hum log khaDe honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.