Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mah achchha hai ki wo badr-e-kamal achchha hai

Raja Naushad Ali Khan

mah achchha hai ki wo badr-e-kamal achchha hai

Raja Naushad Ali Khan

MORE BYRaja Naushad Ali Khan

    maah achchhā hai ki vo badr-e-kamāl achchhā hai

    dekhnā hai ye hameñ kis jamāl achchhā hai

    aap chashm-e-ināyat ne sañbhālā us ko

    aaj to aap ke bīmār haal achchhā hai

    haal jab hogā burā dekhne vo ā.eñge

    log kahte haiñ burā jis ko vo haal achchhā hai

    jis se milte haiñ milāte haiñ ajal se us ko

    chashm-e-qātil meñ tumhārī ye kamāl achchhā hai

    vasl jab us but-e-kāfir mayassar ho jaa.e

    roz vo achchhā vo maah achchhā vo saal achchhā hai

    ḳhāl-o-abrū meñ tumhīñ faisla kar do koī

    badr achchhā hai tumhārā ki hilāl achchhā hai

    hūreñ jannat na kaam ā.eñgī apne 'naushād'

    un hasīnoñ magar husn-o-jamāl achchhā hai

    mah achchha hai ki wo badr-e-kamal achchha hai

    dekhna hai ye hamein kis ka jamal achchha hai

    aap ki chashm-e-inayat ne sanbhaala us ko

    aaj to aap ke bimar ka haal achchha hai

    haal jab hoga bura dekhne wo aaenge

    log kahte hain bura jis ko wo haal achchha hai

    jis se milte hain milate hain ajal se us ko

    chashm-e-qatil mein tumhaari ye kamal achchha hai

    wasl jab us but-e-kafir ka mayassar ho jae

    roz wo achchha wo mah achchha wo sal achchha hai

    KHal-o-abru mein tumhin faisla kar do koi

    badr achchha hai tumhaara ki hilal achchha hai

    huren jannat ki na kaam aaengi apne 'naushad'

    un hasinon ka magar husn-o-jamal achchha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now