mah-e-kaamil ne munh ki khai hai
mah-e-kaamil ne munh ki khai hai
Haji Shafiullah Shafi Bahraichi
MORE BYHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
māh-e-kāmil ne muñh kī khaa.ī hai
aañkh jab aap se milā.ī hai
un kī zulf-e-siyāh kyā kahnā
ek kaalī ghaTā hai chhā.ī hai
aa ga.e aap jab tasavvur meñ
zindagī zindagī ne paa.ī hai
jitnā chāheñ satā.eñ dil merā
in butoñ kī abhī ḳhudā.ī hai
ḳhush-nasībī hai maut kī lā-raib
un ke āġhosh meñ jo aa.ī hai
jab bhī rakkhī binā nasheman kī
ḳhaak karne ko barq aa.ī hai
un ke dāman pe ashk-e-ġham mere
azmat-e-be-panāh paa.ī hai
uTh ga.e sab hijāb nazroñ ke
mujh ko saaqī ne vo pilā.ī hai
koī batlā.e in butoñ ne kahīñ
rasm-e-ulfat kabhī nibhā.ī hai
koī parvāna jal gayā shāyad
sham.a kī lau jo thar tharrā.ī hai
vo pilā de ai pīr-e-mai-ḳhāna
ḳhaas kar chhan ke mai jo aa.ī hai
mah-e-kaamil ne munh ki khai hai
aankh jab aap se milai hai
un ki zulf-e-siyah kya kahna
ek kali ghaTa hai chhai hai
aa gae aap jab tasawwur mein
zindagi zindagi ne pai hai
jitna chahen sataen dil mera
in buton ki abhi KHudai hai
KHush-nasibi hai maut ki la-raib
un ke aaghosh mein jo aai hai
jab bhi rakkhi bina nasheman ki
KHak karne ko barq aai hai
un ke daman pe ashk-e-gham mere
azmat-e-be-panah pai hai
uTh gae sab hijab nazron ke
mujh ko saqi ne wo pilai hai
koi batlae in buton ne kahin
rasm-e-ulfat kabhi nibhai hai
koi parwana jal gaya shayad
shama ki lau jo thar tharrai hai
wo pila de ai pir-e-mai-KHana
KHas kar chhan ke mai jo aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.