Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mah-e-taban teri taswir banate hue the

Anwar Shamim

mah-e-taban teri taswir banate hue the

Anwar Shamim

MORE BYAnwar Shamim

    māh-e-tābāñ tirī tasvīr banāte hue the

    dil se paivast koī tiir banāte hue the

    log jis dasht meñ shamshīr banāte hue the

    ham vahāñ lahn-e-mazāmīr banāte hue the

    aur kyā ḳhaak pe añgusht se ḳhat khīñchte the

    kisht-e-dil-gīr ko kashmīr banāte hue the

    khāre paanī se kiyā karte the billor kashīd

    dāna-e-shor se iksīr banāte hue the

    zaḳhm ham ne kabhī ālūda-e-marham na kiyā

    hijr ko vasl ta.abīr banāte hue the

    chāñd bādal se nikaltā kabhī chhuptā thā udhar

    ham idhar ḳhvāb tasvīr banāte hue the

    jism ke lothaḌe malboñ meñ udhar DhūñDte the

    aur idhar ik na.ī ta.amīr banāte hue the

    yuuñ koī dasht-e-suḳhan kahīñ hotā hai 'asad'

    haañ magar ishq ko jo 'mīr' banāte hue the

    mah-e-taban teri taswir banate hue the

    dil se paiwast koi tir banate hue the

    log jis dasht mein shamshir banate hue the

    hum wahan lahn-e-mazamir banate hue the

    aur kya KHak pe angusht se KHat khinchte the

    kisht-e-dil-gir ko kashmir banate hue the

    khaare pani se kiya karte the billor kashid

    dana-e-shor se iksir banate hue the

    zaKHm hum ne kabhi aaluda-e-marham na kiya

    hijr ko wasl ki tabir banate hue the

    chand baadal se nikalta kabhi chhupta tha udhar

    hum idhar KHwab ki taswir banate hue the

    jism ke lothaDe malbon mein udhar DhunDte the

    aur idhar ek nai tamir banate hue the

    yun koi dasht-e-suKHan ka kahin hota hai 'asad'

    han magar ishq ko jo 'mir' banate hue the

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now