mah-o-anjum kahkashan ke aashiyanon se pare
māh-o-anjum kahkashāñ ke āshiyānoñ se pare
āḳhirī manzil hai merī āsmānoñ se pare
aise aalam meñ haqīqat kā ho kaise inkishāf
vo abhī pahuñche nahīñ haiñ dāstānoñ se pare
ek tūfāñ se diloñ kī kashtiyāñ haiñ muntashir
ek tūfāñ muntazir hai bādbānoñ se pare
aap apnī ambarīñ zulfeñ havā meñ khol deñ
ḳhushbueñ to jā chukī haiñ gulistānoñ se pare
ḳhastagī se jin kī qaa.em hai mohabbat shahr meñ
kuchh makāñ aise bhī haiñ ūñche makānoñ se pare
nasl-e-ādam ke sabhī afrād haiñ is meñ sharīk
ye jahāñ ik ḳhāndāñ hai ḳhāndānoñ se pare
aao ham 'asrār' dekheñ kyā vahāñ hai ḳhaas moḌ
uTh rahī hai gard sī kuchh kārvānoñ se pare
mah-o-anjum kahkashan ke aashiyanon se pare
aaKHiri manzil hai meri aasmanon se pare
aise aalam mein haqiqat ka ho kaise inkishaf
wo abhi pahunche nahin hain dastanon se pare
ek tufan se dilon ki kashtiyan hain muntashir
ek tufan muntazir hai baadbanon se pare
aap apni ambarin zulfen hawa mein khol den
KHushbuen to ja chuki hain gulistanon se pare
KHastagi se jin ki qaem hai mohabbat shahr mein
kuchh makan aise bhi hain unche makanon se pare
nasl-e-adam ke sabhi afrad hain is mein sharik
ye jahan ek KHandan hai KHandanon se pare
aao hum 'asrar' dekhen kya wahan hai KHas moD
uTh rahi hai gard si kuchh karwanon se pare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.