mahaul hai ajib mere aas-pas ka
māhaul hai ajiib mire ās-pās kā
har shaḳhs hai shikār jo ḳhauf-o-hirās kā
apne vajūd kī bhī haqīqat na pā sakā
markaz huuñ dā.ere kā maiñ yā nuqta raas kā
kyā kyā ye marhale haiñ abhī mere sāmne
har dam rahā hai saath mujhe ġham kā yaas kā
vo surḳh-rū lage hai yuuñ ujle libās meñ
ik jal rahā ho jaise ki jangal kapās kā
vo kaun hai jise na ho ḳhushbū kī aarzū
har shaḳhs paas rakhtā hai ā.īna aas kā
har chand go ki maiñ to nahīñ us se mutma.in
lekin asar huā hai mire iltimās kā
aqdār-e-ilm-o-fahm kā ye daur hī nahīñ
'āzim' ye daur aaj kā hai ḳhush-libās kā
mahaul hai ajib mere aas-pas ka
har shaKHs hai shikar jo KHauf-o-hiras ka
apne wajud ki bhi haqiqat na pa saka
markaz hun daere ka main ya nuqta ras ka
kya kya ye marhale hain abhi mere samne
har dam raha hai sath mujhe gham ka yas ka
wo surKH-ru lage hai yun ujle libas mein
ek jal raha ho jaise ki jangal kapas ka
wo kaun hai jise na ho KHushbu ki aarzu
har shaKHs pas rakhta hai aaina aas ka
har chand go ki main to nahin us se mutmain
lekin asar hua hai mere iltimas ka
aqdar-e-ilm-o-fahm ka ye daur hi nahin
'azim' ye daur aaj ka hai KHush-libas ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.