mahi-giron ke sahaare raushan
māhī-gīroñ ke sahāre raushan
aa phañse jaal meñ taare raushan
nāf-e-dariyā meñ pighaltā huā chāñd
pyāsī kashtī ke kināre raushan
ek shaffāf takallum jaarī
nutq ḳhāmosh ishāre raushan
phir tirī chashm-e-hinā jaag uThī
phir mirī jaañ meñ sitāre raushan
phir tirī bahkī huī laT biphrī
phir mire dil ke ḳhasāre raushan
ik tirā tarz-e-taġhāful daa.im
hijr ke saare shumāre raushan
din to har zaḳhm bujhāte guzrā
raat phir saare ke saare raushan
mahi-giron ke sahaare raushan
aa phanse jal mein tare raushan
naf-e-dariya mein pighalta hua chand
pyasi kashti ke kinare raushan
ek shaffaf takallum jari
nutq KHamosh ishaare raushan
phir teri chashm-e-hina jag uThi
phir meri jaan mein sitare raushan
phir teri bahki hui laT biphri
phir mere dil ke KHasare raushan
ek tera tarz-e-taghaful daim
hijr ke sare shumare raushan
din to har zaKHm bujhate guzra
raat phir sare ke sare raushan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.