Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mail-ba-dosti wo kidhar hai kidhar nahin

Zafar Akbarabadi

mail-ba-dosti wo kidhar hai kidhar nahin

Zafar Akbarabadi

MORE BYZafar Akbarabadi

    mā.il-ba-dostī vo kidhar hai kidhar nahīñ

    allāh jāntā hai mujhe kuchh ḳhabar nahīñ

    har-chand kuchh bhī dūrī-e-qalb-o-nazar nahīñ

    ik dūsre se phir bhī magar bā-ḳhabar nahīñ

    har sat.h-e-rang se hai mazāq-e-nazar buland

    jalva yahāñ koī bhī ba-qadr-e-nazar nahīñ

    an-dekhī manziloñ hai is aa.ine meñ aks

    ye merā dil hai sang-e-sar-e-rahguzar nahīñ

    chhā jaa.e laakh chāñd sitāroñ pe aadmī

    kuchh bhī nahīñ jo vus.at-e-qalb-o-nazar nahīñ

    dāman ġhubār se na bachāo musāfiro

    sarmāya-e-safar hai ye gard-e-safar nahīñ

    sustā.e kyā 'zafar' koī rāh-e-hayāt meñ

    vo dhuup hai ki chhāñv kisī moḌ par nahīñ

    mail-ba-dosti wo kidhar hai kidhar nahin

    allah jaanta hai mujhe kuchh KHabar nahin

    har-chand kuchh bhi duri-e-qalb-o-nazar nahin

    ek dusre se phir bhi magar ba-KHabar nahin

    har sath-e-rang se hai mazaq-e-nazar buland

    jalwa yahan koi bhi ba-qadr-e-nazar nahin

    an-dekhi manzilon ka hai is aaine mein aks

    ye mera dil hai sang-e-sar-e-rahguzar nahin

    chha jae lakh chand sitaron pe aadmi

    kuchh bhi nahin jo wusat-e-qalb-o-nazar nahin

    daman ghubar se na bachao musafiro

    sarmaya-e-safar hai ye gard-e-safar nahin

    sustae kya 'zafar' koi rah-e-hayat mein

    wo dhup hai ki chhanw kisi moD par nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now