mail-e-raqs-e-sharar baiThe hain
mā.il-e-raqs-e-sharar baiThe haiñ
kar ke tūfāñ pe nazar baiThe haiñ
vo jo bā-dīda-e-tar baiThe haiñ
ranj-o-ālām se Dar baiThe haiñ
ab to jal jaanā hī hogā behtar
dostī sham.a se kar baiThe haiñ
dard kī raat kaThin hai lekin
le ke ummīd-e-sahar baiThe haiñ
ġham ke tūfāñ ko sadaf meñ tan kar
ham ba-andāz-e-guhar baiThe haiñ
zindagī Dhaal bane yā na bane
maut se sīna-sipar baiThe haiñ
mail-e-raqs-e-sharar baiThe hain
kar ke tufan pe nazar baiThe hain
wo jo ba-dida-e-tar baiThe hain
ranj-o-alam se Dar baiThe hain
ab to jal jaana hi hoga behtar
dosti shama se kar baiThe hain
dard ki raat kaThin hai lekin
le ke ummid-e-sahar baiThe hain
gham ke tufan ko sadaf mein tan kar
hum ba-andaz-e-guhar baiThe hain
zindagi Dhaal bane ya na bane
maut se sina-sipar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.