mail hua jafa pe wo tark-e-wafa ke baad
maa.il huā jafā pe vo tark-e-vafā ke ba.ad
bād-e-sumūm aa.ī hai mauj-e-sabā ke ba.ad
dekhā jise baġhaur vahī sar-kashīda thā
jaise ki musht-e-ḳhāk ho sab kuchh ḳhudā ke ba.ad
chāhā ye thā kuchh aur bhī hāsil ho qurb-e-yār
vo aur khiñch gayā ye asar thā duā ke ba.ad
ab to marīz-e-ishq se māyūs hai tabīb
darmāñ hai maut hī maraz-e-lā-davā ke ba.ad
sirf is ḳhayāl se kahīñ tujh par na aa.e harf
khole na lab tire sitam-e-nā-ravā ke ba.ad
āb-o-havā-e-ḳhuld bhī shāyad na raas aa.e
ai 'soz' us ke shahr kī āb-o-havā ke ba.ad
mail hua jafa pe wo tark-e-wafa ke baad
baad-e-sumum aai hai mauj-e-saba ke baad
dekha jise baghaur wahi sar-kashida tha
jaise ki musht-e-KHak ho sab kuchh KHuda ke baad
chaha ye tha kuchh aur bhi hasil ho qurb-e-yar
wo aur khinch gaya ye asar tha dua ke baad
ab to mariz-e-ishq se mayus hai tabib
darman hai maut hi maraz-e-la-dawa ke baad
sirf is KHayal se kahin tujh par na aae harf
khole na lab tere sitam-e-na-rawa ke baad
aab-o-hawa-e-KHuld bhi shayad na ras aae
ai 'soz' us ke shahr ki aab-o-hawa ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.