mail jo aaj-kal nigah-e-nim-baz hai
maa.il jo āj-kal nigah-e-nīm-bāz hai
vo dil TaTolte haiñ ki kitnā gudāz hai
tārīkiyoñ meñ vaqt kī raftār kho ga.ī
ye shām-e-ġham hai yā tirī zulf-e-darāz hai
toḌe hazār jaam sharāboñ meñ Duub kar
miltā nahīñ jo in kī nigāhoñ meñ raaz hai
ab vo sitam kareñ ki karam ham ko kyā ġharaz
dil un ko de ke ishq bahut be-niyāz hai
tum nañg jaan kar ise chāho to bhuul jaao
ham ko to ab bhī apnī mohabbat pe naaz hai
mail jo aaj-kal nigah-e-nim-baz hai
wo dil TaTolte hain ki kitna gudaz hai
tarikiyon mein waqt ki raftar kho gai
ye sham-e-gham hai ya teri zulf-e-daraaz hai
toDe hazar jam sharabon mein Dub kar
milta nahin jo in ki nigahon mein raaz hai
ab wo sitam karen ki karam hum ko kya gharaz
dil un ko de ke ishq bahut be-niyaz hai
tum nang jaan kar ise chaho to bhul jao
hum ko to ab bhi apni mohabbat pe naz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.