mail-zabt bhi aamada-e-fariyaad bhi hai
Interesting Fact
1935
mā.il-zabt bhī āmāda-e-fariyād bhī hai
dil giraftār-e-mohabbat bhī hai āzād bhī hai
dāstān-e-dil-e-māsūm na pūchh ai hamdam
ye vo bastī hai jo ābād bhī barbād bhī hai
ai mire zabt ko kāmil na samajhne vaale
qābil-e-dād mirī koshish-e-fariyād bhī hai
uḌ ke jā.ūñ bhī to kyā aur na jā.ūñ bhī to kyā
muntazir barq bhī hai taak meñ sayyād bhī hai
kyā likhūñ kyā na likhūñ surḳhī-e-afsāna-e-dil
ġham bhī hai dard bhī hasrat bhī hai fariyād bhī hai
dil-e-dīvāna kī to hastī-e-hushiyār na pūchh
ye giraftār-e-qafas tā.ir-e-āzād bhī hai
merī taskīn to kar bhuul ke itnā to batā
yaad rakhne kā jo va.ada thā tujhe yaad bhī hai
ik 'ravish' dil kī ho ai 'arsh' to kuchh baat bhī ho
kyā musībat hai ki ye shaad bhī nāshād bhī hai
mail-zabt bhi aamada-e-fariyaad bhi hai
dil giraftar-e-mohabbat bhi hai aazad bhi hai
dastan-e-dil-e-masum na puchh ai hamdam
ye wo basti hai jo aabaad bhi barbaad bhi hai
ai mere zabt ko kaamil na samajhne wale
qabil-e-dad meri koshish-e-fariyaad bhi hai
uD ke jaun bhi to kya aur na jaun bhi to kya
muntazir barq bhi hai tak mein sayyaad bhi hai
kya likhun kya na likhun surKHi-e-afsana-e-dil
gham bhi hai dard bhi hasrat bhi hai fariyaad bhi hai
dil-e-diwana ki to hasti-e-hushiyar na puchh
ye giraftar-e-qafas tair-e-azad bhi hai
meri taskin to kar bhul ke itna to bata
yaad rakhne ka jo wada tha tujhe yaad bhi hai
ek 'rawish' dil ki ho ai 'arsh' to kuchh baat bhi ho
kya musibat hai ki ye shad bhi nashad bhi hai
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 37)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.