majra ulfat ka teri aur hum likkhenge kya
mājrā ulfat kā terī aur ham likkheñge kyā
pyaar tujh se ho gayā hai is ko phir bhūleñge kyā
kaash tum ye faisla kar jaate apne pyaar kā
apnī qismat aazmā kar bazm meñ dekheñge kyā
ārzūeñ saarī bar ā.eñgī kaise sochiye
ye savāl apne hī qalb-o-jāñ se ham pūchheñge kyā
us kā aanā hai yaqīnan vo to aa.egī magar
maut kī āñkhoñ meñ āñkheñ Daal kar dekheñge kyā
rizq dene vaalā to ham ko nazar aatā nahīñ
jo muqaddar ho chukā hai us se aur pā.eñge kyā
haq-parastī aur sadāqat kā sabaq ham ne diyā
duniyā vāloñ se bhalā 'yāsīn' ham sīkheñge kyā
majra ulfat ka teri aur hum likkhenge kya
pyar tujh se ho gaya hai is ko phir bhulenge kya
kash tum ye faisla kar jate apne pyar ka
apni qismat aazma kar bazm mein dekhenge kya
aarzuen sari bar aaengi kaise sochiye
ye sawal apne hi qalb-o-jaan se hum puchhenge kya
us ka aana hai yaqinan wo to aaegi magar
maut ki aankhon mein aankhen Dal kar dekhenge kya
rizq dene wala to hum ko nazar aata nahin
jo muqaddar ho chuka hai us se aur paenge kya
haq-parasti aur sadaqat ka sabaq hum ne diya
duniya walon se bhala 'yasin' hum sikhenge kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.