mal kuchh shai hai na kuchh sahib-e-saman hona
mal kuchh shai hai na kuchh sahib-e-saman hona
Inayatullah Raushan Badauni
MORE BYInayatullah Raushan Badauni
maal kuchh shai hai na kuchh sāhib-e-sāmāñ honā
bā.is-e-faḳhr hai insān ko insāñ honā
sho.ala sar dhuntā hai kis soḳhta-jāñ ke ġham meñ
sog meñ kis ke hai ai sham.a ye giryāñ honā
nāla-kash ġham se na ho fasl-e-ḳhizāñ meñ bulbul
ḳhaas ābādī ke āsār haiñ vīrāñ honā
sūrat-e-zaḳhm-e-jigar hañste hī rotā huuñ lahū
yaañ mayassar nahīñ dam bhar ko bhī shādāñ honā
dast-e-vahshat kī ḳhatā hai na junūñ kī taqsīr
apnī taqdīr meñ thā chāk-garebāñ honā
haañ ḳhabar-dār ki anjām-e-masarrat hai malāl
sūrat-e-gul na ḳhushī se kabhī ḳhandāñ honā
shāmil-e-hāl agar fazl-o-karam ho us kā
sahl hai mushkil-e-dushvār kā āsāñ honā
ḳhaak ho jaa.e to ho aañkh meñ jaa.e insāñ
kaam aaya mirā yuuñ gard-e-bayābāñ honā
baat meñ baat na ho to vo suḳhan kyā 'raushan'
da.avā āsān hai mushkil hai suḳhan-dāñ honā
mal kuchh shai hai na kuchh sahib-e-saman hona
bais-e-faKHr hai insan ko insan hona
shoala sar dhunta hai kis soKHta-jaan ke gham mein
sog mein kis ke hai ai shama ye giryan hona
nala-kash gham se na ho fasl-e-KHizan mein bulbul
KHas aabaadi ke aasar hain viran hona
surat-e-zaKHm-e-jigar hanste hi rota hun lahu
yan mayassar nahin dam bhar ko bhi shadan hona
dast-e-wahshat ki KHata hai na junun ki taqsir
apni taqdir mein tha chaak-gareban hona
han KHabar-dar ki anjam-e-masarrat hai malal
surat-e-gul na KHushi se kabhi KHandan hona
shamil-e-haal agar fazl-o-karam ho us ka
sahl hai mushkil-e-dushwar ka aasan hona
KHak ho jae to ho aankh mein jae insan
kaam aaya mera yun gard-e-bayaban hona
baat mein baat na ho to wo suKHan kya 'raushan'
dawa aasan hai mushkil hai suKHan-dan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.