mal-o-daulat na lal-o-gohar chahiye
māl-o-daulat na la.al-o-gohar chāhiye
mudda.ā ke liye chashm-e-tar chāhiye
mere shīshe meñ mai ho na ho ġham nahīñ
mujh pe saaqī tirī bas nazar chāhiye
is jahāñ meñ rahe mujh ko jiine kā haq
bas ināyat tirī is qadar chāhiye
har taraf rāhzan haiñ mirī raah meñ
mujh ko tujh sā koī rāhbar chāhiye
jis tasavvur meñ 'shāhid' rahe aaj tak
vo tasavvur unheñ umr bhar chāhiye
mal-o-daulat na lal-o-gohar chahiye
muddaa ke liye chashm-e-tar chahiye
mere shishe mein mai ho na ho gham nahin
mujh pe saqi teri bas nazar chahiye
is jahan mein rahe mujh ko jine ka haq
bas inayat teri is qadar chahiye
har taraf rahzan hain meri rah mein
mujh ko tujh sa koi rahbar chahiye
jis tasawwur mein 'shahid' rahe aaj tak
wo tasawwur unhen umr bhar chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.