mal-o-zar pas hai ye phir bhi KHaridar nahin
mal-o-zar pas hai ye phir bhi KHaridar nahin
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
māl-o-zar paas hai ye phir bhī ḳharīdār nahīñ
tere ushshāq ko duniyā se sarokār nahīñ
tere had-darja taġhāful se ye maiñ samjhā huuñ
is jazīre kī fazā itnī milansār nahīñ
maiñ ne tanhā.ī ke jangal meñ bhaTak jaanā hai
saath le chaliye ki maiñ itnā samajhdār nahīñ
soch sāhil kī kināroñ kī bhī mujh jaisī hai
yaanī dariyā bhī samundar kā talabgār nahīñ
is meñ har lamha faqat amn-o-sukūñ hotā hai
ye merā dil hai tire shahr kā bāzār nahīñ
aur bhī log tirī baat se inkārī the
is ravayye kā faqat maiñ hī sazā-vār nahīñ
mere jaise bhī haiñ kuchh ziist ke Thukrā.e hue
har kisī ke liye ye zindagī gulzār nahīñ
haal ye shahr-e-ḳhamoshāñ kā nahīñ hotā thā
raat ke pichhle pahar koī bhī bedār nahīñ
jitnī ujlat meñ tirā hijr numū kartā hai
is qadar tez kisī chiiz kī raftār nahīñ
mal-o-zar pas hai ye phir bhi KHaridar nahin
tere ushshaq ko duniya se sarokar nahin
tere had-darja taghaful se ye main samjha hun
is jazire ki faza itni milansar nahin
main ne tanhai ke jangal mein bhaTak jaana hai
sath le chaliye ki main itna samajhdar nahin
soch sahil ki kinaron ki bhi mujh jaisi hai
yani dariya bhi samundar ka talabgar nahin
is mein har lamha faqat amn-o-sukun hota hai
ye mera dil hai tere shahr ka bazar nahin
aur bhi log teri baat se inkari the
is rawayye ka faqat main hi saza-war nahin
mere jaise bhi hain kuchh zist ke Thukrae hue
har kisi ke liye ye zindagi gulzar nahin
haal ye shahr-e-KHamoshan ka nahin hota tha
raat ke pichhle pahar koi bhi bedar nahin
jitni ujlat mein tera hijr numu karta hai
is qadar tez kisi chiz ki raftar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.