mal uTha aur dukan Khaali kar
maal uThā aur dukān ḳhālī kar
ye zamān-o-makān ḳhālī kar
jā kahīñ aur kar shikār apnā
chhoḌ jañgal machān ḳhālī kar
jā kināre pe jā ke baiTh kahīñ
ai havā bādbān ḳhālī kar
ab kisī aur ko bhī baarī de
ai parinde uḌaan ḳhālī kar
raushnī ke liye jagah to banā
raat kā darmiyān ḳhālī kar
muntazir haiñ umīd-vār na.e
kamra-e-imtihān ḳhālī kar
dhuup saarī nikāl andar se
jism kā sā.ebān ḳhālī kar
giit ko apnī lai meñ uThne de
sur badal aur taan ḳhālī kar
koī achchhā suḳhan bhī lab par lā
shor-o-shar se zabān ḳhālī kar
jānib-e-koh chal tayaqqun se
dasht-e-vahm-o-gumān ḳhālī kar
tez rau haiñ musāfirān-e-adam
raah de pā.edān ḳhālī kar
aane vaale dinoñ kā qissa likh
sun chukī dāstān ḳhālī kar
gir chukī haiñ tamām dīvāreñ
ab to 'nāsir' makān ḳhālī kar
mal uTha aur dukan KHali kar
ye zaman-o-makan KHali kar
ja kahin aur kar shikar apna
chhoD jangal machan KHali kar
ja kinare pe ja ke baiTh kahin
ai hawa baadban KHali kar
ab kisi aur ko bhi bari de
ai parinde uDan KHali kar
raushni ke liye jagah to bana
raat ka darmiyan KHali kar
muntazir hain umid-war nae
kamra-e-imtihan KHali kar
dhup sari nikal andar se
jism ka saeban KHali kar
git ko apni lai mein uThne de
sur badal aur tan KHali kar
koi achchha suKHan bhi lab par la
shor-o-shar se zaban KHali kar
jaanib-e-koh chal tayaqqun se
dasht-e-wahm-o-guman KHali kar
tez rau hain musafiran-e-adam
rah de paedan KHali kar
aane wale dinon ka qissa likh
sun chuki dastan KHali kar
gir chuki hain tamam diwaren
ab to 'nasir' makan KHali kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.