mali udas hai na ye gulshan udas hai
maalī udaas hai na ye gulshan udaas hai
āñdhī meñ sirf ek nasheman udaas hai
jamunā ke tiir bajtī hai 'nīrū' kī bāñsurī
'rāñjhe' kā desh 'hīr' kā madhūban udaas hai
mujh ko sakhī kā imtihāñ lenā thā le liyā
merī balā se gar mirā dāman udaas hai
mahloñ meñ rahne vaale zarā hoshiyār baash
mahloñ kī samt dekh ke nirdhan udaas hai
ab ai luTe musāfiro ma.alūm to karo
rahbar ko kyā huā hai jo rahzan udaas hai
pairoñ kī dhuul māthe kā chandan banī to kyuuñ
bas ye hī soch kar to barahman udaas hai
bad-shakl eqtidār ko bad-shakl kyuuñ kahā
darbār-e-adl meñ bhī ye darpan udaas hai
ambar se kah do bādaloñ ko ab rihā kare
jhūloñ kī rut hai bahnoñ kā āñgan udaas hai
mali udas hai na ye gulshan udas hai
aandhi mein sirf ek nasheman udas hai
jamuna ke tir bajti hai 'niru' ki bansuri
'ranjhe' ka desh 'hir' ka madhuban udas hai
mujh ko sakhi ka imtihan lena tha le liya
meri bala se gar mera daman udas hai
mahlon mein rahne wale zara hoshiyar bash
mahlon ki samt dekh ke nirdhan udas hai
ab ai luTe musafiro malum to karo
rahbar ko kya hua hai jo rahzan udas hai
pairon ki dhul mathe ka chandan bani to kyun
bas ye hi soch kar to barahman udas hai
bad-shakl eqtidar ko bad-shakl kyun kaha
darbar-e-adl mein bhi ye darpan udas hai
ambar se kah do baadalon ko ab riha kare
jhulon ki rut hai bahnon ka aangan udas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.