malum agarche hai ki mausam ye kaDa hai
mālūm agarche hai ki mausam ye kaḌā hai
dil phir bhī gulāboñ ke liye zid pe aḌā hai
yaad aa.e haiñ phir log mujhe shahr-e-jafā ke
ik tīr-e-sitam yuuñ bhī mere dil meñ gaḌā hai
vo jis se ibādat kī tarah kī thī mohabbat
vo shaḳhs zamāne ke liye mujh se laḌā hai
mayyat ko mirī dekh ke bolā vo sitamgar
uTh jā.egā phir se ye adākār baḌā hai
jis moḌ pe badlī thī Dagar us ne 'mubārak'
kahnā ki usī moḌ pe dīvāna khaḌā hai
malum agarche hai ki mausam ye kaDa hai
dil phir bhi gulabon ke liye zid pe aDa hai
yaad aae hain phir log mujhe shahr-e-jafa ke
ek tir-e-sitam yun bhi mere dil mein gaDa hai
wo jis se ibaadat ki tarah ki thi mohabbat
wo shaKHs zamane ke liye mujh se laDa hai
mayyat ko meri dekh ke bola wo sitamgar
uTh jaega phir se ye adakar baDa hai
jis moD pe badli thi Dagar us ne 'mubarak'
kahna ki usi moD pe diwana khaDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.