malum hi nahin ki mujhe kya bala hua
malum hi nahin ki mujhe kya bala hua
Meerza Jawan Bakht Jahandar
MORE BYMeerza Jawan Bakht Jahandar
mālūm hī nahīñ ki mujhe kyā balā huā
kuchh dekhte hī tujh ko ye dil mubtalā huā
garmī-e-bazm aaj hai kuchh had setī ziyād
dīvār pīchhe koī na ho dil jalā huā
taskīñ huī use jo gayā be-qarār vaañ
kūcha tirā kahāñ huā dārushshifā huā
bose ke māñgne ke sivā aur kuchh batā
taqsīr ham ne kyā kī jo itnā ḳhafā huā
lagte hī Thes phoḌe kī mānind bah chalā
kyā kahiye aah dil na huā aabla huā
gul dil-figār o laala huā ġham se dāġhdār
jaise ki tere hāthoñ pe rang-e-hinā huā
daulat se dāġh-e-ishq ke siina mirā tamām
aa dekh misl-e-taḳhta-e-gul ḳhush-fazā huā
us kī galī meñ dekhā 'jahāñdār' ke ta.iiñ
mānind-e-naqsh-e-pā thā sar-e-rah paḌā huā
malum hi nahin ki mujhe kya bala hua
kuchh dekhte hi tujh ko ye dil mubtala hua
garmi-e-bazm aaj hai kuchh had seti ziyaad
diwar pichhe koi na ho dil jala hua
taskin hui use jo gaya be-qarar wan
kucha tera kahan hua darushshifa hua
bose ke mangne ke siwa aur kuchh bata
taqsir hum ne kya ki jo itna KHafa hua
lagte hi Thes phoDe ki manind bah chala
kya kahiye aah dil na hua aabla hua
gul dil-figar o lala hua gham se daghdar
jaise ki tere hathon pe rang-e-hina hua
daulat se dagh-e-ishq ke sina mera tamam
aa dekh misl-e-taKHta-e-gul KHush-faza hua
us ki gali mein dekha 'jahandar' ke tain
manind-e-naqsh-e-pa tha sar-e-rah paDa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.