malum nahin kaun si basti ke makin the
malum nahin kaun si basti ke makin the
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
mā'lūm nahīñ kaun sī bastī ke makīñ the
kuchh log mirī soch se bhī baḌh ke hasīñ the
ab mujh ko vo ik pal bhī mayassar nahīñ hote
arbāb jo masnad pe yahīñ taḳht-nashīñ the
ye baat 'ajab hai ki hamārā na huā tū
kyā ham na tire 'ahd ke tābinda nagīñ the
afsos use prem kā ik lafz nahīñ yaad
qisse mirī chāhat ke jise zehn-nashīñ the
ab bhuul chuke apne ḳhad-o-ḳhāl to kyā hai
ham log kisī daur meñ had-darja zahīñ the
paḌhtā huuñ bahut shauq se purkhoñ ke fasāne
muflis the magar gaañv kī 'izzat ke amiiñ the
ma'lum nahin kaun si basti ke makin the
kuchh log meri soch se bhi baDh ke hasin the
ab mujh ko wo ek pal bhi mayassar nahin hote
arbab jo masnad pe yahin taKHt-nashin the
ye baat 'ajab hai ki hamara na hua tu
kya hum na tere 'ahd ke tabinda nagin the
afsos use prem ka ek lafz nahin yaad
qisse meri chahat ke jise zehn-nashin the
ab bhul chuke apne KHad-o-KHal to kya hai
hum log kisi daur mein had-darja zahin the
paDhta hun bahut shauq se purkhon ke fasane
muflis the magar ganw ki 'izzat ke amin the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.